Zakmhi Shayar ke Sher
- Gaane the , taraane the,
Sunane ke liye kai afsaane the,
Magar wo zamana aur tha,
Un dino hum zaraa diwaane the
- Haqeequt ne ye kis bazaar me laa khadaa kiya hain
Ki saare jhoot khood hee par khirch kar rahen hain
- Labzon ki baadh to is dil me bhi hain Galib
Durr bus yahin hain ki saath me Jazbaat bhi na bah jaaye
- Upar waale se hee lekar aayi hongi aap taalim
Ye zamana nahi banaa sakta kisi ko itna zaalim
Zindagi ne zakhm dena zaari rakha to aage aur bhi original maal pesh hota rahega.